Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Friday, December 31, 2010

jinnat ka amal k liya jaga ka intakhab

As salamu allaiqum
jinnat ka amal ka liya jaga k intakhab karna bohat zaroore ha . ya u samajh lay ka yeah amal ki kamar ha. yani amal depend he karta ha jaga ka intakhab karna per . agar amel ny ahsa he kisi be jaga per amal karna shoro kardeya to amel nakam ho jahe ga . jinnat ka amal k liya ahse jaga chuni jahe jaha per kohi be na ho. yani kisi be insan ka ana jana na ho .belkul sun san jaga ho . behtar to yeah ha k jangle main ja kar chilla kareen . ya phir kohi ahsa ghar doonda jaha per kohi be na rehta ho wo ghar sunsan ho . or khod akala be rehna hota ha doran e a amal mah. jinnat ka amal k liya apni family se door hona parta ha tanhahe ikhtayaar karni parte ha phir ghar main sakone hona chaheya . agar app apna he ghar main chilla kareen ga to ho sakta ha ka apka ghar waloon ko saket nooksan ho q k jab jinnat ana shoro hota ha to wo pore ghar main ahe ga or wo ghar ka kisi be ake banda ko kuch be nooksan de sakta ha is main yeah zaroore nahi ha ka chota mota nooksan ho. jani nooksan be ho sakta ha or mali be .is liya mare hidayat per zaroor amal kareen or tanhahe ikhtayaar kareen ahse cheeze tabhe waze hote ha jab amel tanhahe ikhtayaar karta ha , agar apka ghar portion main ha yani flat bana howa ha to be nahi kareen q k jinnat or dosare logo ko nooksan poucha sakta ha. ahsa ghar lay jo alag sa ho jo zameen per ho ya phir jesa gao main bare bare hawali type ka ghar hota ha wo best ha is kisam ka amal ka liya agar ny sahe jaga ka intakhab karliya to app samajh lay ka 70% chances ha ka app jinnat ka amal main kamyab ho jahe gay


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





20 comments:

Unknown said...

asslamwalekum
humara nam syeda razia hai aur ek din jab hum sketh bemar the high fever tha tab ghr ki chat pe so rahe the aur hume asa laga do biwiyan ayi hai ek green roshni m thi aur ek unke peeche first wali gayab ho gayi par dusri bibi mere pass ake so gayi aur mujhe apna hath rakha aur kaha mehanaz mai hun tere sath mai tujhe chodne wali nahi hun .asa malum hua ki sach m ye hua hoo mai kya karun janab plz sahi gide karyen

Anonymous said...

As salamu allaiqum hajrat mera nam Imran Nijami or me Saoner(India) me reheta hu hajrat mene apki said deki or oa masha allah oa bahot hi achi ilm e din se nawaji hui hy. hajrat me apse puchna cahata hu ki me ak bar Hajrat Baba Sailani dharga sharif me gya tha or wahase ane ke bad meri tabiat bahot khrab hogai or mene doctare ilaj bahot kiya par muje kuch bhi aram nhi mila tab me ak hajrat Nisar Sahab ke pas gya or unone muje kaha ki muj par jinn asrat hy or ye islami hy or pak jinn hy or ye apko najar aynge or muje ye
sach me najar aana lage tab me ak or khankaye Nijami me gya or wahake hajrat se murid huwa or oa hajrat mujse logo ka ruhani ilaj krate the tab ak bar mene oa jinn ko awaj di or tabse muje oa jinn najar nhi aye hajrat muje is bare me kuch bhi ilm nhi hye or tab se me bahot pareshan hu me ab kya karu or hajrat me logo ka ab bhi ilaj karta hu par mujme oa allah pak se nawaji hui sakti nhi lagti lakin muje logo ka ilaj karne me sukun milta hy or me ruhani ilm sikna cahata hu hajrat meri apes gujaris hy ki ap muje kuch asi kitabo(books) ke nam batao ya koi wastad ka address bataoa ki me unse ilm hasil kar saku hajrat me logo ka ilaj kar ne or apni paresani dur karne ke liye ruhani ilm sikna or jana hy muje allah pak ko raji karne ke ily logo ki madat karni hy or har insan ko islam me ane ki dawat deni hy .

Anonymous said...

bhai jan me ny ap ka add daka k jin ko apny qabu me karny k liya 3 rozy or 333 martaba sura jin parna hoga agar is me koi galti ho jati hay to us bandy ko to koi nuksan nahi hoga or is k liya sahi tariqa kon sa hy ?

muhammad yaseen said...

sir
Asalam o allaikum surah jinn ka jo amal ah jinn ko hazir karny ka jab Amal shoro karna ha jis jagah bath kar waha koe kara marna ha yani apny era gird koe sarkal jis ky andar jinn na dakhil ho aur jab ye Amal ho jay to jin sa kam kysy lana ha aur kam ky liy dobara us ko bulana kasy ha

muzamil said...

Janab amil sahab, Asalam-o-alikum . .
Amil sahab mujhe apki madad ki bohot zrort he, apki is post k hawale se "surah jinn se jinnat ko qabu krna" me ye amal karna chahata hoon, par isko karne ke liye mujhe apse mazeed mamumaat ki zarort he, amil sahab app apna mobile number den agr ap mujhe sms b send kr dain ge is number pr to me phir khud ap se rabta kru ga, amil sahab meherbani farma kr mujhe mere mobile number pr 1 sms send kr dijiye, me apke sms ka intezar kr rha hu . .
ALLAH pak apko or apke ghar walo ko hamesha khush-o-abad rakhe,
ALLAH HAFIZ . .

Unknown said...

janab amil sahab apse ek darkhwas hai ki mujhe jin ji ko kabu me karna hai aur apne papa ka karj chukana hai aur mera takdeer bhi sanwar jaye

IMRAN said...

Dear Brother Amel
Aslamulaikum,.

mera naam IMRAN hai mai india me rehta hoon, meine apne murshid e pak se nek jinnat ko
bulake aur unse nek kaam aur sab logo ki bhalai ke liye IJJJAJAT le li hai. aur mere murshid ne
muje is nek kaam ke liye Ijajat bhi de di hai aur unhone muje ek amal bhi bataya hai. amal is
tarah hai : 1) pehle to chand raat ki 1 tarik se 20 tarik ka amal hai
2) amal ke liye kuch shart di hai jaise harwaqt wudu se rehna,kisi par gussa nahi karna, 11vi
sharif ko 3 miskino ko khana khilana, kisi ko bad-dua nahi dena

3) mere murshid e pak ne ye amal diya hai," wo izzarfna alaikum farum minal zinne yastmiul
quran lama sameu kala ansitu falama kudaya wallahu illa kaume him munazarin" ( pls note that i
can write exact wordings as like wazifa )

now i am doing same things but its my 5 time i have completed this wazifa but i could not
succeded. i know that it would my own fault that i cannot get success.

to please aap muje koi wazifa dijiye jisse mein koi nek jinnat ko kabu kar saku.

aur agar aapke pass koi nek jinnat hai to please muje dijiy jisse mein ache kam karva saku

pls reply me i am waiting for your reply

Anonymous said...

Salam Walekum bhai jaan,
Aapke likeh huve artical pade, kafi jankari di apne, sukriya....

Bhai jaan kya mai ye "Jinnati Amal" kar sakta hu,

Jo aap likhe unme se muje sirf " Darud Sarif aur Tashbee" ati hai usme "Hisar aur Surah he Jin" nehi ati hai...
Kya aap muje step by step batayenge muje kis tarha karni hai......Insha alha agar mai kamyam huva to apko jaroor yaad karunga.....

Aamir said...

AOA

Janab mene ap se Ye puchna tha .jab surah Jin Parna shuru karni hai ma to janamaz par beth kar paru ga muje Ye bty k kuch apne gir Dyra Wgera to nai lagna par k agr asa kuch hai to plz muje bta de ap r jab 3 din bad Ye amal pura ho jay ga to jin khudi samne ajy ga.ya kuch Kehna pare ga.tab jin ay ga samne,pls mere is bat k rehnomai kar de ap

Anonymous said...

Bhi humra khoib ma aik buzark ata ha wo bolta ha surat ikhlas para karo din ma 90 dafa hum na aik 2 din pari us k bd ni pari wo phir khob ma aya phir unho na bola ha hum bhot paraShan ha humra bhot masla ha unho na ya bola tha app ke sb parashani dur ho gay ge

aamir said...

is ma jo lika han surah jinn ye rat ko kiss time parhengy or sham ko kiss time parhengy ye surah jinn ek dinn man 333 martabah parhengy or ye surah jinn kuch ayat parhengy ya sara suhrat {ap ki contect chaheye} my name is aamir peshawar

Abdullah said...

Asslamo Alaikum janab
umeed hai ap theek hun gaye,and ap ka artical jinn qabu karna par kar khushi hoi hai,tu kia her kisi ko ijazat hai,ye es ke liye espical ijazat leeni pare gi,muje ak buzrgun ne ak wazeefa deya tha 40din ke liye magar kamyabi na hoi ,pher unhuun ne farmaya ke 80din abi tak koi kamyabi nai hoi tu wo muje suura muzamal shreef ki ayat 3034 martaba parni thi magar abi 72 din huye haein,her kisam ka prheez b kiay magar abi tak kamyabi nai hoi,ap ka kiya khiyal hai?
or ap ke wazzefeye ke liye muje ijazat hai.
wasalamo Alaikum

Anonymous said...

sir asslam o alliukam sir jin ko kabo karna cahta ho.please help karien ge

Anonymous said...

AoA sir how r u i am jaffar from pakistan and wanna know that last amal for 1000 times sura jinn suba sham doni se kia murad he aur kya me apne kamre main ye amal kar saktan hoon thanks indeed
jaffar mahmood

nawaz said...

assalam alaikum hazrath mari madath karo ke my har garib logon ki
madath karsakun aur pareshniko door karsakun mujhe salatul jin padkar
jin hazrat ko bulasakun allah apko jannath nasib karen ameen summa
ameen.

usman said...

sir i have read your many tips but i like your jin say dosti surah yasean
kia main wo amil kar sakta houn agar aap ki ijazat ho to
q k mairay taya abo k pas bohat say jinnat hain pakistan
k ban,nay say pehlay k wo humain bohat darattay dhamkatay
hain ploz mujhy ijzat dain mai nay lakhoun rupay ka kam kia
ha mgr itna ziyada karobar tha k aap socch b nahi saktay....
mgr aaj kal 2say 3,4,5 hazar ki sale kar raha houn
mairay chootay chootay bachay bachy hain
plz help me

Anonymous said...

Amel sahab assalm alaykoom me apse ye janna chahta hu ke jo roze rakhna hi use ki sham ko amal start karna hi matlab surha jinn ki riyayat karna hi plz bata dijeye

Iliyas said...

Asslamu Alikum!
Mera naam ILIYAS my India ka rehne wala hoon. My aap ki post padha hoon. Mujhe jinnath se dosti karna bahuth pasand hy isi silsile mein my ne Surah Muzammil ka amal kiya tha lekin na kamiyaab raha. Phir mein ne socha ke bina ustad ke sikhna aur khaboo karna mushkil hai...
Mein aap se adabaana guzarish karta hoon ke aap mujhe apna shakrid banaye aur mujhe ijazath deddijiye ke mein amil aur kamil bansaku.
Please meri madad ki jiye is silsile me.... meri niyath sirf dosti karne ki hy jinnath se.
aap ke reply ke intezar mein...........


Thanking You,

Aap ka,

Anonymous said...

As salamualaikum sir main Bangladesh sey hu mujhe pari ko bulane ka izazat chaheay mai ek pari ko bulana chahata hu jameela pari ko ap mujhe izazat dey k mai usy bulau mai apka mail ka intezar kar raha hu

nitin said...

Assalamo alaikum wa rahmtullahi wa barkatuhu

Amil sahab mai shah e jinnat ko kabu me karna chahta hu magar mera koi ustad nahi mai kaise karu mujhe samajh nahi aa raha baraye karam mujhe koi accha sa rashta bata de bohut meharbani hogi.

Assalamo alaikum wa rahmtullahi wa barkatuhu
Allah Hafiz

Popular Posts